info@buecher-doppler.ch
056 222 53 47
Warenkorb
Ihr Warenkorb ist leer.
Gesamt
0,00 CHF
  • Start
  • Yogvasishth Saar / &#2351,&#2379,&#2327,&#2357,&#2366,&#2360,&#2367,&#2359,&#2381,&#2336, &#2360,&#2366,&#2352

Yogvasishth Saar / &#2351,&#2379,&#2327,&#2357,&#2366,&#2360,&#2367,&#2359,&#2381,&#2336, &#2360,&#2366,&#2352

Angebote / Angebote:

Humne ab tak Shree Ram ko Ramayan se hi jaana hai, jismein Shree Ram ko humne ek agyaakari beta, ek prajahitaishi raja aur ek maryadapurushottam kee tarah jana hai. par kya humnein jaana hai ki Shree Raam ko adhyatmik shiksha kahan se mili thi? Unko avtaar kyon kaha jaata hai? Wo itne mahaan kyon the? Jis prakaar Krishn ko samajhne ke lie Geeta chahie, usi tarah Ram ko poori tarah samajhne ke lie 'Yogvasishth Saar' chahie. Ramayan se nishchit roop se humein Bhagwan Ram ke jeevan ko jaane ka mauka milta hai par Shree Ram se judi jo mool adhyatmik shiksha hai, veh 'Yogvasishth Saar' ke madhyam se ham tak pahunchti hai. Jis prakar yuva Siddharth ke man me jeevan aur sansaar ke prati gahan prashn aur vairagy ka bhaav utha tha, usi tarah Shree Ram bhi apni yuvavastha me vyakul aur bechain hue the. Unke man me bhi jeevan ke prati gahan jigyasa uthi thi. 'Yogvasishth Saar' yuva Ram aur unke guru Maharishi Vasishth ke samvad ka sangrah hai. Yeh granth batata hai ki ek yuvak rajkumar maryadapurushottam Ram kaise bane. Prastut pustak me Acharya Ji ne Maharishi Vasishth kee shikshaon aur unke darshan kee saral vyakhya kee hai. 'Yogvasishth Saar' ko samjhe bina aapka Ram ke prati prem adhoora hi rahega. Yadi aap vakai jaanna chaahte hain ki Ram ka naam itna uncha aur itna pavitr kyon hai, aur unki mahanta kismein hai, to yeh pustak zarur padhein.
Folgt in ca. 15 Arbeitstagen

Preis

22,90 CHF